Saturday, 5 December 2015

Urdu Poetry

Uasy Yaad Kar Kay Na Dil Dukhaa, Jo Guzar Gaya Woh Guzar Gaya, Kahaan Laot Kar Koi Aayegaa, Jo Guzar Gaya Woh Guzar Gaya, Nayi Subah Hai, Nayi Shaam Hai, Niya Shaher Hai, Niya Naam Hai WOh Chalaa Gaya Usay Bhool Jaa, Jo Guzar Gaya Woh Guzar Gaya, Koi Aayegaa Koi Jaayegaa, Koi Jaayegaa Koi Aayegaa Suno Raaston Ki Suno Sadaa, Jo Guzar Gaya Woh Guzar Gaya, Tere Paas Teraa Habib Hai, Jo Nahi Milaa Woh Naseeb Hai Koi Phool Kehta Hai Muskuraa, Jo Guzar Gaya Woh Guzar Gaya, Mujhe Pat-Jharon Ki Kahaniyaan Na Suna Suna Kay Udaas Kar Naye Mosamon Ka Pata Bataa, Jo Guzar Gaya Woh Guzar Gaya, Yahaan Atbaar-o-Yaqeen Hai, Yeh Haqeeqton Ki Zameen Hai Zaraa Dair Ka Koi Khawaab Tha, Jo Guzar Gaya Woh Guzar Gaya

No comments:

Post a Comment